Gy3ZRPV8SYZ53gDjSFGpi7ej1KCaPY791pMbjB9m
Bookmark

Wah Kya Joodo Karam Hai Shahe Bat,ha Tera Naat Lyrics in English | Owais Raza Qadri

Wah Kya Joodo Karam Hain Shahe Bat-Ha Tera, Wah Kya Joodo Karam Hain Shahe Bat-Ha Tera Naat Lyrics
Wah Kya Joodo Karam Hain Shahe Bat,ha Tera Naat Lyrics


Wah Kya Joodo Karam Hain Shahe Bat-Ha Tera in English


Wah Kya Joodo Karam Hain Shahe Bat-Ha Tera
Nahi Sunta Hi Nahi Maangne Waala Tera.

Dhaare Chalte Hain Ataa Ke Wo Hain Qatra Tera
Tare Khilte Hain Sakhaa Ke Wo Hain Zar-ra Tera.

Faiz Hain Ya Shahe Tasneem Nirala Tera
Aap Pyaso Ke Tajas-sus Me Hain Dariya Tera.

Agniya(n) Palte Hain Dar Se Wo Hain Bada Tera
Asfiya Chalte Hain Sar Se Wo Hain Rasta Tera.

Farsh Waale Teri Shaukat Ka Uloo Kya Jaane
Khusrava Arsh Pe Udta Hain Pharera Tera.

Aasmaa(n) Khwan, Zamee(n) Khwan Zamana Mehmaan
Sahibe Khana Laqab Kiska Hain Tera Tera.

Main To Maalik Hi Kahunga Ke Ho Maalik E Habeeb
Ya’ani Mehboobo Muheeb Me Nahi Mera Tera.

Tere Qadmo Me Jo Hain Ghair Ka Muh Kya Dekhe
Kaun Nazro Pe Chadhe Dekh Ke Talwa Tera.

Bahre Sa-il Ka Hu Sa-il Na Kuwe Ka Pyasa
Khud Bujha Jaye Kaleja Mera Cheeta Tera.

Chor Haakim Se Chupa Karta Hain Ya Uske Khilaf
Tere Daamam Me Chupe Chor Anokha Tera.

Aankhein Thandi Ho Jigar Taze Ho Jaan-E-Sairaab
Sachhe Suraj Wo Dil-Aara Hai Ujala Tera.

Aik Main Kya Mere Isyaa(n) Ki Haqeeqat Kitni
Mujhse Sau Laakh Ko Kaafi Hain Ishara Tera.

Muft Paala Tha Kabhi Kaam Ki Aadat Na Padee
Ab Amal Poochte Hain Haaye Nikamma Tera.

Tere Tukdo Se Pale Ghair Ki Thokar Pe Na Daal
Jhidkiya Khaaye Kaha Chor Ke Sadqa Tera.

Khwaro Bimaro Khatavaro Gunahgaar Hu Main
Rafe’ao Nafe’ao Shafe’a Lakab Aaqa Tera.

Meri Taqdeer Buri Ho To Bhali Karde Ki Hain
Mahwo Isbaat Ke Daftar Me Kadoda Tera.

Tu Jo Chahe To Abhi Mayl Mere Dil Ke Dhule
Ke Khuda Dil Nahi Karta Kabhi Mayla Tera.

Kiska Muh Takiye Kaha Jaiye Kis Se Kahiye
Tere Hi Qadmo Pe Mitt Jaye Yeh Paala Tera.

Tu Ne Islam Diya Aaqa Tu Ne Jama’at Me Liye
Tu Kareem Ab Koi Phirta Hain Atiyya Tera.

Maut Sunta Hu Sitam Talkh Hain Jahraaba-e Nab
Kaun La De Mujhe Talwo Ka Ghusala Tera.

Dur Kya Janiye Bad-kaar Pe Kaise Guzre
Tere Hi Dar Pe Mare Be-kaso Tanha Tera.

Tere Sadqe Mujhe Ik Boond Bohat Hain Teri
Jis Din Achho Ko Mila Jam Chalakta Tera.

Haram-O-Taibah Wa Baghdad Jidhar Kije Nigah
Jyot Padti Hain Teri Noor Hain Chanta Tera.

Teri Sarkaar Me Laata Hain Raza Usko Shafe’a
Jo Mera Ghous Hain Aur Laadla Beta Tera.

Shayar: Ala Hazrat (Imam Ahmad Raza Khan)
Naatkhwan: Owais Raza Qadri
Post a Comment

Post a Comment